SMS and Shayari

SMS and Shayari for all

Your Ad Here
Welcome to SMS and Shayari Blog

Mohobaat

Mohobaat hai duniya
Mohobaat hai dariya
Mohobaat karam hai
Mohobaat dharam hai

Mohobaat dilo ki aajab dasta hai
Kabhi kho ke payi,
Kabhi paa ke khoyi

Mohobaat hawa ka ek halka sa jhoka
Kabhi chu gaya, to
Kabhi chu ke nikla

Mohobaat samandar ki gheraiya hai
Koyi tair nikla
Koyi dub haara

Mohobaat ki saaso me bhi shokhiya hai
Kabhi hans diye, to
Kabhi chot khayi

Mohobaat khuda ka ek nazuk sa tofaa
Kahi toot jaye, to
Jode jude na

Bade dilkashe hai mohobaat ke waade
Kabhi hai wafaai
Kabhi ruswaai

Mohobaat dilo ki aajab dasta hai
Samaj ke bhi, humko
Samaj me na aayi

0 comments:

Post a Comment