SMS and Shayari

SMS and Shayari for all

Your Ad Here
Welcome to SMS and Shayari Blog

Poetry

meri kahani ek band kitab si hai
jis se aaj tak kisi ne khola nahi
jis ne khola us ne parha nahi
jis ne parha woh samjha nahi
aur jo samjh saka woh mera tha he nahi



fasle kurb ki pehchan hua karte hain,
be sabab log pareshan hua karte hain
ye mumkin hai jahan toot kar chaha jaye
wahan bicharne k imkan hua karte hain





ek kurb-e-wafa musalsal mujhe sone nahi deta
dil sabar ka adi kabhi rone nahi deta
main us ka hoon ye raaz to woh jaan gaya hai
woh kis ka hai ehsaas ye hone nahi deta

woh to deewana tha mujhe tanha chor gaya
khudh na ruk saka to apna saya chor gaya
dukh nahi gham is baat ka hai
aankhon se kar k wada bataon se tor gaya

koi na mila aisa jis pe duniya luta dete,
sab ne dokha diya kis kis ko bhula dete,
dil ka dard dil me dabaye rakha,
bayan kiya hota to sari mehfil ko rula dete



lafzon ki tarhan mujh ko kitabo main mila kar
duniya ka agar daar hai to khawabo main mila kar
pholon ka khushbo se taaluq hai zarori
to ban k mehak mujh se gulabo main mila kar.



tum muskarate raho zindagi k mele main
magar ye sochna ek pal kabhi akele main
kisi ki soch main ehsas ki sadaon main
tum bas rahe ho kisi ki duaon main.



woh roz dobte hue suraj ko dekhta hai faraz
kash main bhi kisi shaam ka manzar hota.



tot kar chaha jisse woh lout kar aya nahi
mere dil ko us k siva aur koi bhaya nahi
pyar ki sodagri main hum barabar he rahe
us ne kuch khoya nahi aur hum ne kuch paya nahi

woh roya to bohat par mujh se mouh mor kar roya
koi majburi hogi jo dil tor kar roya
mere samne kar diye mere tasvir k tukry
pata laga mere jane k baad woh unhain jor k roya.

0 comments:

Post a Comment